Khak-E-Paak ki tasbeeh
UncategorizedImam Mahdi (atfs) Se Muhammad Bin Abdullah Humairi Ne Sawaal Kiya Ke, “”Kya Imam Husain (As) Ki Qabr Ki Mitti Se Tasbeeh Banana Jaayez Hai?”” Imam e Zamana (Atfs) Ne Sawaal Ke Jawaab Ke Aagaaz Mein Farmaya, “”Turbat e Qabr e Husain (As) (Yaani Khaak e Shifa) Ki Tasbeeh Bana Sakte Ho Jis Se Khuda Wande Aalam Ki Tasbeeh Karo, Kyun Ki Turbat e Imam Husain (As) Se Behtar Koi Cheez Nahi Hai. Iske Fazaail Mein Se Ek Ye Hai Ke Agar Koi Zikr Bhi Na Kahe Aur Faqat Tasbeeh Ko Ghumaata Rahe, To Bhi Uske Liye Tasbeeh Ka Sawaab Likha Jata Hai””.
(Ehtejaaj, Jild No 2 Safa No 312, Bihaar ul Anwaar, Jild No 53 Jild No 165)
Sharh Chahal Hadees Imam Mahdi (atfs), Safa No 19
Imam Sajjad (As) Ke Paas Ek Kapde Mein Bandhi Hui Thodi Si Khaak e Shifa Raha Karti Thi. Imam (As) Ke Ham-raah Khaak e Shifa Ka Hamesha Rehna 3 Haal Se Khaali Na Tha:
1) Ya Usay Tabarrukan Rakhte The,
2) Ya Uspar Namaz Mein Sajda Karte The,
3) Ya Usay Ba-haisiyat Muhaafiz Rakhte The Aur Logo’n Ko Ye Bataana Maqsood Rehta Tha Ke Jiske Paas Khaak e Shifa Ho Wo Jumla Masaaib O Aalaam Se Mehfooz Rehta Hai Aur Uska Maal Chori Nahi Hota.
14 Sitaarey, Safa No 287
Ek Zina-kaar Aurat (adultress) Apne Paida Hone Waale Bachcho’n Ko Jalaa Deti Thi. Oos Aurat Ki Maut Ke Baad Usay Jitni Baar Bhi Dafn Kiya Gaya, Qabr Ne Usay Baahar Phenk Diya. Kisi Ne Ye Maajra Imam Jafar Sadiq (As) Se Bayaan Kiya. Unki Hidayat Par Uski Qabr Mein Turbat (e Imam Husain [As]) Ki Maamuli Miqdaar (Small Quantity) Sath Rakh Di Gayi. Uske Baad Phir Qabr Ne Usay Baahar Nahi Phenka.
Irfaan e Mazloom, Safa No 23
Imam Mahdi (atfs) Se Sawaal Hua Ke “”Kya Khaak e Shifa Ki Tasbeeh Banana Jayez Hai Aur Kya Isme Koi Fazilat Hai?”” Imam e Asr (Atfs) Ne Jawaab Diya, “”Aisa Hi Karo Kyun Ki Is Se Behtar O Bartar Koi Tasbeeh Nahi Hai. Iski Fazilat Mein Yehi Kaafi Hai Ke Koi Tasbeeh Padhna Bhool Jaaye Aur Tasbeeh Ko Harkat Deta Rahe To Bhi Uske Liye Sawaab e Tasbeeh Likha Jayega””.
Ehtejaaj e Tabrisi, Jild 2 Safa No 346